Hum Bloggers badi ummid aur asha ke sath Blog banate hai aur fir badi mehnat karke apne Blog me achche achche articles likhte hai. Magar jab kafi mehnat karne ke baavjood bhi humare blog ko traffic nahi mil pata hai to last me hume lagta hai ki hum blogging me success nahi ho sakte aur isi baat se nirash hokr hum blogging chod dete hai. Lekin humare Blog par achcha traffic nahi aane ki main vajah hoti hai blog ka look sahi nahi hona. Agar humare blog ka look kharab hoga ya dikhne me bhadda hoga to visitors dobara kabhi bhi humare blog par aana pasand nahi karenge. Vahi agr humare blog ka look achcha aur aakarshak hoga to jo koi bhi ek baar humare blog par ek baar aayega vo baar baar aana pasand karega. Aaj mai is Article me aapko isi ke baare me batane ja rha hu ki Blogger Blog Ki Template Ko Change Or Upload Kaise Kare ?? Is article ko padhne ke baad aap aasani se Apne blog ki Tempkate change ka sakenge.
Iska sheedha sa jawab hai ki agar aap apne blog ki traffic increase krna chahte hai and agr aap apne blog pr jyada se jyada visitors lana chahte hai to aapko apne blog ki template change karni chahiye Aur ek achchi Responsive and SEO READY Template lagani chahiye. Jo ki dikhne me achchi ho aur use jiski madad se aapki site ko use kane me visitors ko bhi aasani ho.
Wese to aapko Blogger ne phle se hi kafi saare templates use karne ke liye free me hi diye huuye h lekin agr aapko apne blog ko achcha look dena hai and apne blog pr traffic increase krna hai to aapko apne blog ki template change karni hog aur apne blog par ek achchi template use karni hogi. Yadi Aap apne Blog ke liye Mobile friendly, SEO Ready and Responsive template dhoondh rahe hai to humare is article ko padhiye :- Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Best Websites
Yaha is Article me humne 10 Best sites for download Best template ke baare me bataya h vaha aapko jo bhi template achcha lage use download kar lijiye aur apne blogger blog pr upload kr dijiye.
Receive AchchiDuniya's new articles by email.Blog Ki Template Ko Kyu Change kare ?
Iska sheedha sa jawab hai ki agar aap apne blog ki traffic increase krna chahte hai and agr aap apne blog pr jyada se jyada visitors lana chahte hai to aapko apne blog ki template change karni chahiye Aur ek achchi Responsive and SEO READY Template lagani chahiye. Jo ki dikhne me achchi ho aur use jiski madad se aapki site ko use kane me visitors ko bhi aasani ho.
Mobile Friendly Aur SEO Ready Template Kaha Se Download Kare ?
Wese to aapko Blogger ne phle se hi kafi saare templates use karne ke liye free me hi diye huuye h lekin agr aapko apne blog ko achcha look dena hai and apne blog pr traffic increase krna hai to aapko apne blog ki template change karni hog aur apne blog par ek achchi template use karni hogi. Yadi Aap apne Blog ke liye Mobile friendly, SEO Ready and Responsive template dhoondh rahe hai to humare is article ko padhiye :- Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Best Websites
Yaha is Article me humne 10 Best sites for download Best template ke baare me bataya h vaha aapko jo bhi template achcha lage use download kar lijiye aur apne blogger blog pr upload kr dijiye.
Blogger Blog Ki Template Kaisi Honi Chahiye ?
Apne blogger Blog ke liye koi bhi template choose ya download karne se phle aapka yah jaan lena bhi bahut jaruri hai ki Aapke blogger blog ki template kaisi honi chahiye. Kyuki yah jaan lene ke baad hi aap apne blog ke liye best template choose kr payenge aur yah aapke liye kafi faydemand bhi saabit hogi.
1. Mobile Friendly :-
Aapke Blog ki Template mobile friendly honi chaiye. Jisse aapka blog mobile me achcha dikhe aur aapke blog ko mobile me open krne me bhi koi pareshani nahi ho. Kyunki ye to hum sabhi jante hi hai ki jyadatar log mobile phones me hi net use karte hai so aapke blog pr bhi sbse jyada traffic mobile phones se hi aayega aur aise me agar aapki site Mobile Friendly nahi hogi to aapko kafi nuksaan ho sakta h.
2. SEO Friendly :-
Aapke blog ki Template ka SEO Friendly hona bhi bahut jaruri hai. Kyonki Kisi bhi blog par sabse jyada traffic Google ke through hi aata hai. Aur agar aapke blog ki Template SEO Friendly hogi to aapka blog Google Search Engine me aasani se search ho sakega.
3. Fast Loading :-
Blog ki Template ka fast loading hona kitna jaruri hai ye to hum sabhi jante hi hai agr koi visitor humari site open karega aur ye open hone me jyada time legi to visitor humari site ko chodkr kisi aur site pr chala jayega and uske dobara laut kr aane ke chances bhi bahut kam ya zero ke barabar ho jayenge.
To Dosto ab to aap ye samajh hi gaye honge ki Blog ke Liye kaisi Template choose kare or Blog ki Template kaisi honi chahiye. Aur ye hum aapko pahle hi bata chuke hai ki Blog ke liye Template kaha se download kare to ab der kis baat chaliye sabse pahle to aap Apne blog ke liye ek Achcha sa Template download kar lijiye.
Blog Ki Template Kaise Change Kare Or Blog Par Template Kaise Upload Kare ?
Ummid hai aapne apne blog pr lagane ke liye Ek achcha sa Template choose krke Template download kr liya hoga Ab aaiye jante hai ki How to Change Blogger Blog Template ? Apne Blog ki Template Change krne ke liye Aap yaha neeche diye gaye kuch easy steps follow kare :-
Step 1. Sabse phle to Blogger.com pr jakar Login Kare.
Step 2. Ab Apne Blog ke Dashboard me jaye.
Step 3. 1. Ab Template pr click kare.
2. Iske Baad Back Up/Restore par click kare.
Step 4. Ab aapke saamne ek popup window khulegi.
1. Blog ki Template Change karne se pahle Download Template par click karke apne blog ke purane template ka backup bana le Or Apne blog ka purana template download kar le. Jisse ki agar humare naye template me koi error aaye to hum fir se apna purana template upload kar sakte hai.
2. Choose file par click karke apne template ki xml file ko choose kare. ( Jo Blogger template ki file hoti hai vo xml formate me hoti hai).
3. File choose krne ke baad upload pr click kare aur thoda wait kare. Template upload hone ke baad aapke blog ka look badal jayega. Aur aapne jaisa template choose kiya hai vaisa ho jayega.
Ye lijiye aapke blog ki template change ho gayi hai. Agar aapko apne blog me template upload krne me koi problem aa rhi hai to apni problem comment box me likhkr mujhe bataye. Mujhe aapki help karke khushi hogi.
Blog Post By Email
अगर आपको हमारी यह पोस्ट अच्छी लगी हो तो आज ही हमारे Blog को Subscribe करें और हमारे इस ब्लॉग की हर एक नयी पोस्ट की सुचना अपनी ईमेल पर पाये। यह बिलकुल फ्री है।Apni email id dal kar subscribe par click karne ke baad aapko ek email aayega usme ek link hogi, uspar click Karke confirm jarur kare.
Enter your email address to subscribe to Achchi Duniya's blog and receive their new articles by email.
बहुत ही बढ़िया article लिखा है आपने। ........Share करने के लिए धन्यवाद। :) :)
जवाब देंहटाएंबेहतरीन post . आपने बहुत अच्छे समझाया है । शेयर करने के लिए धन्यवाद ।
जवाब देंहटाएंsir aapki template kaunsi hai bataye pls. and link bhi de de sir
जवाब देंहटाएंMene Apni Template Sora Templates se Download ki hai aap bhi vaha se meri jaisi template ya fir koi aur template jo aapko pasand aaye download kr sakte ho...
हटाएंthnkyou sir
जवाब देंहटाएंThanks Bro.
जवाब देंहटाएंAap bhi achcha likhte hai bus aapko apni site me kuch widgets add karne ki jarurat hai like as category, apne social media ke links etc.
agar aap apne blog ke jariye paisa kamana chahte ho to ek niches par hi article post kijiye... Nahi to agar aapko adsense approved bho jata hai to aapko cpc baht kam milegi
जवाब देंहटाएंHa Bro... Aapne Sahi kaha... First Of all Aapke suggestion ke liye aapka bahut bahut dhanyawad.
जवाब देंहटाएंLekin bro. filhaal mera Adsense se earning karne ka koi mood nahi hai jab adsense ke liye apply karne ke baare me sochoonga to other niche wale articles blog se hata dunga. mene yaha blogging se judi sirf vo hi jankari post ki h jo ki new blogger ko janne ki jarurat hoti hai.
Aap dekh sakte hai mere blog par bloggong wale niche se jude sirf 8-10 articles hi honge.
Anyways Thankyou for your suggestion mujhe mere blog ke baare me feedback dene wale log bahut pasand aate hai so please aage bhi aap mere blog ke baare me aisi hi kamiya mujhe batate rahe jinhe mai sahi kar saku...