शनिवार, 24 दिसंबर 2016

Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Best Websites

Blog ke liye best template kaha se download kare ??... Apne Blog ke liye Template choose karte samay hr kisi blogger ke dimag me yahi sawal aata hai. Aur ye to aap jante hi hai ki apne blog ki traffic bdhane ke liye Blog me achchi template ka hona kitna jyada jaruri hai. Aapke blog ka look jitna jyada achcha hoga, aapke blog pr utne hi jyada visitors dobara aana pasand karenge. Blog bilkul aapke ghar ki tarah hi hota hai agr aap apne ghar me achchi saaf-safai rakhoge aur aapka ghar dikhne me achcha hoga to log bhi aapke ghar baar baar aana pasand karenge otherwise agli baar gate par se hi hi, hello, tata, bye-bye karke chale jayenge. Isiliye har kisi naye and purane blogger ki chahat yahi hoti hai ki uske blog ka Template ka look sabse achcha and best ho jisse ki unke blog pr jyada se jyada visitors aa sake. Aur yah sach bhi hai ki Blog ki traffic badane me achchi template ka hona bahut jaruri hai. Aapke blog ka look jitna achcha hoga utne hi jyada visitors aapke blog pr aana aur rukna pasand karenge.


Aaj me aapko is post me bataunga ki Apne blog ke liye best SEO friendly templates kaha se download kare. Me yaha is post me aapko aapke blogger blog ke liye best templates dene wali top 10 websites ke bare me batane ja rha hu. Jaha aapko dher saare SEO friendly templates mil jayenge and vaha se aap apni pasand ka template download krke apne blog pr laga sakte ho.





Blogger Blog Ke Liye Best Template Download Krne Ki Top 10 Websites



Gooyabitemplates


Is Website ki saari Templates SEO Ready hai. Aapko bas isme Meta Tag add krne ki jarurat hai aur jald hi aap payenge ki Google Search Engine aapke Blog ko Search Results me dikhane laga hai. Is site par aapko Responsive, SEO Ready, Ads Ready, Slideshow, Social Bookmark Ready, Drop DOwn Menu, Post Thumbnails or 2,3,4,5 Column Footer wali Templates mil jayengi. Blog ke liye badhiya Template download krne ki ye best site hai.


New Blogger Themes


Is website par aapko Dher sari New Templates mil jayengi. Is site ki templates ka look kafi achcha hai. Aur lagbhag sabhi templates me social share ka option bhi bahut achcha hai. Mujhe is site ke templates ke social share wale options sabse jyada pasand aaye. Lekin aap kisi bhi template ko choose krne se phle ye jarur dekh le ki ye template SEO and Mobile friendly hai ya nahi.


Spicy Tricks


Is site pr aapko aapke blog ke topic se related templates mil jayenge chahe aapka blog kisi bhi topic se related ho like as Magazine, Cars, Social Sharing, Iphone Apps...etc. aapko sare topics se related templates yaha mil jayenge.


Sora Templates


Ye Website bhi Gooyabitemplates ki tarah hi best site hai apne blog templates ke liye templates download karne ke liye. Mene bhi apne blog ke liye template isi site se download kiya hai. Is site ki bhi sari templates Mobile Friendly, SEO Responsive aur free hai. Agr aapko Apne topic se Related High Quality ke free and Stylish Templates chahiye to is site ko jarur visit kare.


Btemplates


Agar aapko apne blog ke liye simple template download karna hai to aap is site par jaye. Yaha aapko simple hi simple templates dikhayi denge. Ye puri site simple templates se hi bhari padi hai. Yaha bhi aapko sabhi templates free mil jayengi so agar aapko apne blog ke liye simple template chahiye to aap is site ko try kare.


My Blogger Themes


Agar aapko apne template ke side me 1 ya 2 ya 3 ya 4 column chahiye to ye website aapke kaam aa sakti hai. Yaha aapko 4-4 columns support krne wale templates mil jayenge.


Theme Forest


is site par aapko free templates ke sath premium templates bhi milenge. Aur ye to aap jante hi ho ki koi bhi achchi cheez free nahi hoti. So jo better templates hoti hai vo paid hi hoti hai. Lekin agar aap template ke liye paise dene ko taiyar hain to aap apne blogger blog ke liye is site se saste me better templates khareed skte ho.


Fresh Design Web


Is site par aapko apne blogger blog ke sath sath wordpress and website ke liye bhi better templates mil jayengi. Is site ke dwara provide krwayi jane wali templates ka look bilkul website ki tarah hi hota hai. Agar aap apne blogger blog ko website ki tarah hi banana chahte hai but coding nahi aane ki vajah se ye nahi kr pa rahe hai to aap is site ko try krke  dekhe. Is site ki templates aapke liye kafi useful sabit hongi.


Design Scrazed


Jaisa is site ka naam hai vaisa hi iska kaam hai. Yah to hume is site ke naam se hi pata chal jata hai ki jarur is site par design wali templates hi milengi. Agr aapko apne blogger blog ke liye behtareen design wali templates chahiye to aap is site ko visit kar sakte hain. And vaha se apni pasand and jarurat ke hisab se template choose or download kar sakte hain.


Urang Kurai


Is website ka har ek template bahut hi unique hota hai. So agar aap is website se template download karke apne blogger blog me use karoge to aapka blog bahut hi unique lagega aur sath hi sath iska look bhi is tarah ka hoga ki koi kah hi nahi payega ki ye blogger ka hi template hai. So agr aapko apne blog ke liye ek Unique template chahiye to aap is website ko bhi try kar skte hain.


Blog ke liye Template download karne ki in Top Websites se apne Blog ke liye Template download karne ke bad uske sabhi search engine ke meta tag add karna nahi bhoole. Jisse search engine aapke blog ki har post ko sahi logo tak pahucha sake. bahut se blogger bar bar template change karte hai. aysa nahi karna chahiye. aap ek bar koi achi template apne blog me add karle. use bar bar change na kare. Kyuki Baar baar Template change karna Blog ke liye achcha nahi hota hai. Anyway Aap apne Blogger Blog ke liye better template Download karne ke liye in Top Websites ko visit kijiye and apne blog ke liye ek achcha sa SEO Responsive and Mobile friendly Template choose kijiye.

7 टिप्‍पणियां:

  1. As usual शानदार पोस्ट .... Bahut hi badhiya .... Thanks for this!! :) :)

    जवाब देंहटाएं
  2. नये साल के शुभ अवसर पर आपको और सभी पाठको को नए साल की कोटि-कोटि शुभकामनायें और बधाईयां। Nice Post ..... Thank you so much!! :) :)

    जवाब देंहटाएं
  3. Thank you Rajashree Sarda Ji, for your encouraging comment.
    Keep Visiting 😊

    जवाब देंहटाएं
  4. बहुत बढ़िया जानकारी प्रदान की है आप ने, धन्यवाद

    जवाब देंहटाएं