गुरुवार, 6 अक्तूबर 2016

(10) Website Blog Ke Page Loading Speed Time Ko Kaise Kam Kare - In Hindi

10 Best Tips To Reduce Page Loading Time :-



How to reduce Page loading Time


Website/Blog Ke Page Loading Speed Time Ko Kaise Kam Kare ?? hr new blogger ke man me ye ek bahut hi bada sawal rhta h. Kisi bhi Blog ki Page Loading Speed kitni important rahti hai ye to aap sabhi jante hi hain. Koi bhi Visitor jb aapki koi post or Page open krta hai to sabse pahle uska samna aapke Page ki Loading Speed se hi hota hai aur agr aapke blog ka Page Loading Speed Time hi bahut slow hoga to vah aapka Content padhe bina hi naraj ho kar aapke Page se chala jayega aur fiir kabhi wapas laut kr nai aayega. Fir chahe aapke Blog ka Content kitna hi achcha ku na ho ye aapke mayine nahi rakhega and kuch bhi kam nahi aayega. So kisi bhi Blog ya page ke liye first thing hai uski Page Loading Speed. Agr aapke Blog ki Page Loading Speed achchi nahi hai to aapke liye us pr Visitors lana ya Apne Blog pr Traffic badhana bahut muskil kaam hoga. And aapne khud ne bhi yahi dekha hoga ki jis Blog ya Page ki Loading Speed kam hoti hai & Page open hone me jyada time leta hai us pr Visitors bahut kam aate hain. And SEO ke liye bhi Aapki Page Loading Speed fast hona bahut important hai. And vese bhi jaisa ki aap sabhi jante hai ki aajkal log time ke bade paband hai unhe hr Cheez ya result jaldi se jaldi chahiye. Isiliye aapke Page ki Loading Speed bhi achchi hona bahut jaruri hai. Me yaha aapko apne page ki Loading speed ko kam krne ki Tips bata raha hu agr aap in sabhi Tips ko Follow karenge to me Aap apne Page ki Loading Speed ko kafi hd tk kam krne me Success ho jayenge. Yaha is post me aapko apne page loading se sambandhit sabhi sawalo ke jawab mil jayenge like as :- Website Blog Ke Page Loading Speed Time Ko Kaise Kam Kare - In Hindi, Page ka loading time kitna hona chahiye, how to reduce page load time, page ki loading speed kaise check kare, how to reduce page load time, website/blog ke Page ki loading speed kam krne ki best tips, page ki loading speed kam krne ki top 10 tricks, page ki loading speed kam kaise kare, page loading speed ko kaise reduce kare blog ki page loading speed kam hone se kya fayda hai, etc. Aur is post se apko apni site par traffic lane me kaafi madad milegi.

Page Ka Loading Time Kitna Hona Chahiye ??

Aap sabhi ye to jante hi hain ki Page ki Loading Speed kisi Blog ya Page ya Visitor ke liye kitni mayine rakhti hai But ek aur question hai jo ki Bloggers ke man me bahut jyada baar aata hai aur vo hai ki Page Loading time kitna hona chahiye ??
To chaliye aapke is question ka bhi jawab aaj hum de dete hain. Vese to sabhi Readers yahi chahte hai / ummid rakhte hain ki vo jis page ko open kr rahe hai vah kam se kam time me open ho jana chahiye. But fir bhi sabka yahi manna hai ki agr aapka page 3 sec. me open ho jaye to aapke Blog ki Page Loading Speed perfect hai. But agr aapka Page open hone me 10 sec. tk ka time leta hai to bhi aapke Page ki Loading speed theek thak hai. But agr aapka Page Load hone me 10 sec. se bhi jyada time le raha hai to fir aapke page ki Loading Speed bahut hi bekar hai and maximum Visitors aapke Blog pr aana Pasand nahi karenge.

For Ex :- Agr kisi Popular Website ki Per day Income $1,00,000 hai Aur agr fir Site ki 1 year tk Loading Speed 1 sec. kam rahe to Site ko saal bhar me $2.5 Million ka loss ho jata hai.

Mtlb ki Aapke Page ka Loading Time Jitna Jyada Hoga Income Utni hi kam hogi.

Aur agr aapki site Hindi me hai to jaisa ki aap jante hai india me to abhi bhi max. Internet Users 2G ka hi use krte hain so ise dekhte huye aap aapki site ki Loading Speed jitni kam ho sake utni kam krne ki kosish kijiye. Aur Aapki Is hi kosish me aapki help krne ke liye hum aapko kuch tips de rahe hai agr aap in sabhi ko follow karoge to aapko apni Website ka Page Loading Time kam krne ki kosish me bahut achche results milenge.

How To Reduce Page Load Time :-

Yaha Hum Aapko Apne Page ka Loading Time Reduce krne ke liye kuch Behatreen Tips bata rahe hain agr ho sake to inhe jarur follow krna - 

1. Use SEO Friendly, Responsive Blogger Template :-

Aapke Page ki Loading Speed ko kam / jyada krne me main role aapke Blog ya Website ke Template ka hota hai. Isiliye Blog banate samay ye jarur dhyan de ki aap kaunsa Template use kr rahe hain. Aapka Teplate Jitna ho sake utna Mobile & SEO Friendly hona chahiye. Agr aapka page aapke galat Template chunne ki vajah se mobile me nahi khul raha hai ya bahut jyada slow open ho rha hai to apni is galti ko sudhariye kuki Website ya Blog pr maximum Visitors mobile ke threw hi aate hai. Isiliye Aap Aisa Template chune jo SEO Friendly and Mobile Friendly ho Aur Responsive bhi ho. Agr aap Wordpress use kr rhe hain tb to khair aapko vaha apni Site ke liye dher sare free and SEO, Mobile friendly Templates mil jayenge But agr aap aap blogger (Blogspot) pr blog likh rahe ho to aapko yaha free templates to milenge but vo bahut kam Responsive and SEO friendly honge. So Aap humesha in sub baato ko dhyan me rakhkr sahi Template ka chunav kare.

Apne Website Blog Ki Traffic Kaise Badhaye (50+ Best Tips)

2. Reduce Image Size :-

Yah to Hum sabhi jante hain ki kisi bhi post ya content ko samajhane ke liye Aur Google me apni post ki rank badhane ke liye Image kitni jaruri factor hoti hai and Isiliye normaly har kisi post me ek na ek Image to hoti hi hai. Jab bhi aap koi nayi post likhte hai aur usme pics upload krne ke liye photo / Image / Pics banate hain to usme ek baat jarur dhyan rakhe ki aapko apni post me sirf vahi images use krni hai jo size me bahut kam ho and jagah bahut kam gherti ho kuki aap jitni kum size (length, width) use karenge aapke page ka Loading Time bhi utna hi kum hota jayega. Isiliye Aap Images ko post pr add krne se pahle resize jarur kr le. Aap apni Images ko paint, photoshop, photo editor ki madad se bhi edit ya resize kr sakte hain. Aur extra images ko apni post me add krne se bache. And agr ho sake to apni Image ki size 100 KB se kam hi rakhe. Iski madad se bhi aap apne Page ke Loading Time ko kafi hud tk kum kr skte hain.

3. Advertisement / Banner ka Use kam Kare :-

Jyadatar New Bloggers Jyada Money kamane ke chakkr me dher sare Advertiser banners apne Blog pr laga lete hain unhe lagta hai ki aisa krne se unki earnings badh jayegi but vo galat hote hain Aur isse unke Blog Page Loading time bahut jyada badh jata hai. Aur uske baad hota kya hai... Na to vo jyada kama hi pate hain aur na hi apne blog ko hit / famous kr pate hain. Aur to aur jo unke Regular Visitors hote hain vo bhi Page Loading me lagne wale jyada Time ki vajah se pareshan hokr aapke blog ko visit krna band kr dete hain Aur aap apne jo Regular Visiter the unhe bhi gava baithte hai. And vese bhi Visitors un bloggers ko bilkul pasand nahi krte jo Visitors ke bajaye paise ke baare me jyada sochte hain & sirf paisa hi kamane ke liye blogging krte hain. Aur is vajah se aapko fayde ki jagah bahut jyada nuksan hi ho jata hai. So agr aap Apne blog pr Affiliate earning krte hai to Aap banners ki size ko reduce kre aur jyada bade banners use na kare. And Jyada banners bhi use krne se bache.

4. Achchi Hosting ka Use kare :-

Agr Aap Blogger platform ka use krte hain tb to Aapko Server ki speed ko lekr koi problem nahi hogi kuki Blogger ko Google hosting manage krti hai jo ki Duniya me no.1 pr hai lekin agr aap self hosted wordpress use / start krna chahte hai to Hosting ya Domain kisi aisi Company se le jo ki humesha (24 hours) on rahti ho mtlb ki kabhi bhi jiska server down nahi hota ho. Agr aap chahe to Godaddy se hosting le sakte hai. Filhaal Godaddy ka 99 rupees wala offer kafi charcha me hai. And maximum bloggers Godaddy se hi blogging khareed rahe hain.

5. Hard Pop Up Ka Use Na Kare :-

Jyadatar Bloggers apne Blog ke Home Page pr Subscribe By Email ya fir Facebook Pop Up box add kr dete hai Aur isse hota kya hai --- Aapke blog ka Loading Time bd jata hai. Aur agr Page Loading time badhta hai to iska seedha asar aapke Blog ke Visitors pr padega. So Aap ya to Pop Up box ka use hi na kre Aur agr use krna chahte hain to pahle to us Pop Up box ki speed check kr le uske baad hi Pop Up box ka use kare.
Agr aapko koi professional PopUp use krna hai to aap uske liye Hellobar.com use kr sakte hain. yah free bhi hai and paid bhi. Aur haan iske sath hi ek aur Cheez check kr le ki aapke blog ka Popup mobile me sahi dhang se show ho raha hai ya nahi. And agr ho sake to Mobile Version me PopUp ka use band (off) ho rakhe.

6. Firstpage Ya Hompage pr Limited Post Show Kare :-

 Aap Apne homepage pr Jyada posts ko show na kare kuki Agr Homepage pr jyada page load honge to ve homepage ka Loading Time badhate hain, aur is vajah se visitor aapke blog se pareshan ho kr ise chod bhi sakte hain. Isiliye isko bhi aapko manage krne ki jarurat hoti hai agr aap Firstpage / Homepage me jyada se jyada posts show karenge to is reason se bhi apapke Blog ka Loading Time bd jayega.

Blogger Me Firstpage Post Show Kam Kaise Kare

 
Blogger Me Firstpage Post Show Kam Kaise Kare

Step 1.  Sabse pahle to apne Blog ke Dashboard me jaiye
Step 2. Iske baad Apne Dashboard me Setting pr click kare and uske baad Posts, Comments and sharing pr click kar
Step 3. Uske baad Aap Posts me Show at most ke saamne wale box me jaha 7 likha hua hai vaha se aap number change krke yah fix kr sakte hai ki aapko Apne first page pr kitne posts show krne hain.


7. Widgets Kam Use Kare :-

Chahe to aap Blogger platform ko dekh lo aur chahe to Wordpress platform ko dekh lo in dono hi platforms pr ek feature sabse badiya hai aur vo hai Widgets ka. In dono hi platforms pr aap Widgets ke threw jo chahe vo apne Blog pr add kr skte hain. Is feature ke threw aap apne blog ke look ko kaafi hud tk change kr sakte hain. But agr aap apne blog pr widgets ka kuch jyada hi use kr dalte hai to usse aapke blog ki Loading speed kam ho jati hai. Isiliye apne page pr jitna ho sake utni kam Widgets use kare. Kuki jya da widgets use krna mtlb ki apne Page ke loading time ko badhana hai.
  

8. Remove Unwanted Css Styles And Java Scripts :-

Humare Blog ke templates me dher saare Unwanted and bina kaam ke Css and Java scripts hote hain jinki hume koi jarurat nahi hoti hai and vo faltu pade hote hain. Agr aapko coading ki sahi dhang se jankari hai to aap in Css and Java Scripts ko remove kr de isse bhi aapko apne blog ki loading speed fast krne me madad milegi.
 

 9. Don't Use External Java Script :-

Aapke Blog me kai saare External java Widgets aise honge jinse aapke blog ki desining ho achchi lagegi but vo aapke Blog ki Loading speed ko kafi hud tk badha dengi so in extra external Widgets me se jo bhi widget aapke kaam ki na ho use aap hata dijiye isse bhi aapke Blog ki loading speed kuch hud tk fast ho jayegi.

10. Remove Extra Images :-

Aap apni posts me jo bhi Images dalte hain vo sari Visitor ke liye useful honi chahiye agr aapko koi bhi Image aisi lagti hai ki ye visitors ke liye koi kaam ki nahi hai to aisi extra Images ko aap apne Blog / Post se Remove kr de kuki images bhi aapke blog ki loading speed ko kaafi slow kr deti hai so apne blog se sabhi unwanted or extra images ko remove kr de.


Page Ki Loading Speed Kaise Check Kare :-

Agr aap check krna chahte hain ki aapka page load hone me kitna Time leta hai to me aapko yaha 2 sites and un pr apne page ki Loading Speed check krne ke Methods bata Raha hu. Inke threw Aap Apne Blog ki Page Loading Speed Check kr sakte hain.


1. PageSpeed Insights :-

Aap Heading pr click krke is Google speed tester tool / site pr ja sakte hai. Uske baad aapke saamne ye page khulega :-



Page Ki Loading Speed Kaise Check Kare

Enter a web page URL me aap apni Site ka URL daal dijiye. and fir ANALYZE pr click kr dijiye. Uske baad aapke saamne kuch is tarah ka page open hoga :-

Page Ki Loading Speed Kaise Check Kare

Uske baad aap is page me di gayi tips ko use kare and aapke blog ki Loading speed 100% tk fast ho jyegi.


2. Pingdom Website Speed Test :-

Aap is Link pr click krke bhi Apni website ki speed test kr sakte hain. Iske Liye sabse pahle aap is Link pr click kijiye. Uske baad aapke samne ye page khulega :-
Blog Ki Page Loading Speed Ko Kaise Check Kare


Iske baad aapko URL me apni site ka URL dalna hai aur uske baad START TEST pr click kr dijiye.
And ab ek aur new page khulega isme aapko aapki site se sambandhit sabhi details mil jayengi like as this :-


Blog Ki Page Loading Speed Ko Kaise Check Kare


आशा है कि आपको यह पोस्ट पसंद आई होगी और आपके सारे Doubts clear हो गये होंगे अगर फिर भी आपके मन में कोई Doubt हो या मेरी कोई Help चाहिए तो Plz Comment Box में बता दीजिये मुझे भी आपकी Help करके बड़ी प्रसन्नता होगी

और अगर आपको यह पोस्ट पसंद आयी हो तो Plz इसे Facebook, Twitter and Google + पर  अपने दोस्तों के साथ भी शेयर कीजिये जिससे कि  वे भी इस पोस्ट का लाभ उठा सके

धन्यवाद !

Receive AchchiDuniya's new articles by email.


Blog Post By Email

अगर आपको हमारी यह पोस्ट अच्छी लगी हो तो आज ही हमारे Blog को Subscribe करें और हमारे इस ब्लॉग की हर एक नयी पोस्ट की सुचना अपनी ईमेल पर पाये। यह बिलकुल फ्री है।

Apni email id dal kar subscribe par click karne ke baad aapko ek email aayega usme ek link hogi, uspar click Karke confirm jarur kare.


Enter your email address to subscribe to Achchi Duniya's blog and receive their new articles by email.




Enter your email address:

2 टिप्‍पणियां: