सोमवार, 17 जुलाई 2017

Blogging Or Youtube Me Se Kaunsa Hai Best, Kisme Hai Jyada Kamayi

Blogging Vs Youtube Which One is Best ?? Youtube and Blogging me se Kaunsa Platform Aapke liye Best hai ?? Agr Aap Blogging Karte Hai aur Youtuber banne ki chah rakhte hai ya fir aap Youtuber hain aur Blogger banne ke baare me soch rahe hai ya fir Aap Dono hi kam kar rahe ho ya fir Blog ya Youtube me se kisi ek Platform ko choose krna chah rahe ho... Reason Chahe jo bhi ho aapke dimag me ye kuch Sawa jarur aate honge ki....


Blogging Aur Yotube me se Kaunsa Platform Choose kare ?? 

Blogging vs Youtube, Kis par jyada kamayi hoti hai ??

Mere Liye Kaunsa Platform achcha rahe rahega rahega ??

Blogging Karne Ke Kya Fayde Hai ??

Youtuber Banne Ke Kya Fayde Hai ??

Blogger Par Success Pane Ke Liye Kya Kare ??

Youtube Par Success Pane Ke Liye Kya Kare ??

Blogging Vs Youtube ?

Agr Aapke Dimag me bhi aise hi sawal uthte hai to Aap meri is Post ko puri Padhiye. Kyuki is post me mai apni khud ki experience ki huyi cheeje hi bataunga and koshish karunga ki is baare me aapke sabhi sawalo ke jawab is ek hi post me de du.

Sabse Pahle to mai aapko ek baat bata du ki halanki is baare me mujhe jyada experience to nahi hai but fir bhi mene pichle ek saal me 6 months blogging ki hai and 6 months Youtube pr kaam kiya hai and isme mujhe jo experience mila mai vo hi aapke sath is article me share karne ja raha hu.



What Is Required For Blogging & Youtube ?

Blogging Ke Liye Kya Requirements Hai ??

  • Aap Blogging Ki Shuruaat Blogger se kar sakte ho (Yah bilkul free hai). Lekin yadi aap iske liye Serious hain to aapko Domain name and Hosting buy karni padegi.
  • Iske liye aapko Seo ki bhi Achchi knowledge honi chahiye.
  • Sath hi aapki writing and communication skills bhi better honi chahiye.
  • Yaha Success hone ke liye aapko regular post karni hogi. mtlb hr 2-3 din me 1 Article to likhna hi hoga.
  • Iske alawa Social Media par bhi agr aapki pakad hogi to yah aapke liye plus point hoga.

Youtube Ke Liye Kya Requirements Hai ??

  • Video Editing ki jitni jyada jankari hogi utna hi achcha hoga.
  • Youtube SEO ki jankari bhi hona bahut jaruri hai.
  • Iske liye bhi Social Media Par aapki pakad jitni jyada achchi hoga utna hi better hai.

What Is Benifits Of Blogging & Youtube ??

Moneymaking is associated with Youtube as well as in Blogging.

These are somewhat similar in nature. But have their own Strategies.
Blogging And Youtube me kaafi sari Similarities hai And Blogging Benifits (Blogging Ke Fyde) aur Youtube Benifits (Youtube Ke Fyde) bhi lagbhag same hi hain.
(Blogging and Youtube dono hi vese to ek jaise hi hain Lekin fir bhi unki apni kuch Strategies hain)

Blogging ke Kya Plus Points Hai ?? (Plus Points Of Blogging Or Blogging Ke Kya Fayde Hai)

  1. Duniya bhar ke bahut saare logo ke sath aapka network ban jata hai.
  2. Blogging se aapko apni Writing Skills bhi Sudharne me Madad milti hai.
  3. Aap Jis bhi Niche (Topic) par articles likhte hain (blogging karte hain) us Topic me aap master ho jaoge mtlb ki Us topic ke baare me aapko bahut jyada jaankari ho jayegi.
  4. Isse Aapki Photographic Skills bhi Improve ho jayengi.
  5. Blogging Aapki Income ka bhi bahut bada Source ban sakta hai.
  6. Agr aapka koi bhi Small or Large Business hai to blogging ke jariye aap use bhi promote kar sakte hain.
  7. Blogging ko aap as a career bhi choose kar sakte hain.
  8. Blog SetUp karna bhi jyada mushkil nahi hai.
  9. Blogging ki vajah se aapko kaafi Popularity and Respect bhi mil sakti hai.
  10. Blogging karne se aapke dimag ki achchi khasi exercise ho jati hai.
  11. Agr aap jyada Educated nahi bhi hai to bhi aap Successful Blogger ban sakte hain.
  12. Blogging karke aap ek Online Marketer / Digital Marketer bhi ban sakte hain.
  13. Blogging ko aap apne business ke liye as a Content Marketing Tool bhi use kar sakte hain.
  14. Affiliate marketing se paise kamane ke liye apne content (Article) me related Affiliate Link de sakte hain.
  15. Isme Aapko Apne blog ke subscribers ki Email List milti hai . Aapki yah Email List kisi bhi cheej se jyada Important hai.

Youtube ke Kya Plus Points Hai ?? (Plus Points Of Youtube Or Youtube Ke Kya Fayde Hai)

  1. Youtube Channel Set Up karna bahut easy hai.
  2. Youtube ke jariye aap ek celebrity ban sakte ho.
  3. Aap Jis bhi Niche (Topic) par Videos banate hain us Topic me aap master ho jaoge mtlb ki Us topic ke baare me aapko bahut jyada jaankari ho jayegi.
  4. Youtube se aapki VideoGraphic Skills sudhar jayengi.
  5. Sath hi sath isse aapki presentation skills bhi sudhar jayengi.
  6. Yaha par bhi aap as an Affiliate Marketer logo ke products sell karke paise kama sakte hai.
  7. Youtube bhi Aapki Income ka bahut bada Source ban sakta hai.
  8. Youtube ko bhi aap as a career choose kar sakte hain.
  9. Youtube ki vajah se bhi aapko kaafi Popularity and Respect mil sakti hai.
  10. Agr aap jyada Educated nahi bhi hai to bhi aap Successful Youtuber ban sakte hain.
  11. Youtube par Videos banakar bhi aap ek Online Marketer / Digital Marketer ban sakte hain.
  12. Youtube ek aisa platform hai jaha aap apna talent logo ko dikha sakte ho.
To Blogging aur Youtube ke Plus Poits padh kar aapko ek baat to pata chal hi gayi hogi ki in dono me hi bahut si baate similar hain. Ab Chaliye jante hain Blogging And Youtube ke differences ke baare me-

Blogging Aur Youtube Differences

Blogging Vs Youtube Which One is Best ? Yaha hum Blogging and Youtube ke beech Difference ke baare me baat kar rahe hai jinhe padhkr aap anuman laga sakte hain ki aapke liye kya best hai Blogging Or Youtube ?? Youtube and Blogging me se Kaunsa Platform Aapke liye Best hai ?

Blogging vs Youtube : Fayde & Limits :-

  • Agar Blogging ke fayde baare me baat ki jaye to iska sabse pahla and sabse bada plus point yah hai ki blogging me humara apna khud ka domain name and hosting hone ki vajah se koi bhi humara blog band nahi kar sakta hai jab tak ki hum khud na chahe Lekin Youtube me aisa nahi hota hai Yadi aapne koi bhi aisi choti ya badi galti kar di jo ki Youtube ki terms and conditions ke khilaaf hai to Youtube aapke channel ko kabhi bhi suspend (band) kar sakta hai. Aur iske baad aapki Youtube par ki gayi saari mehnat barbaad ho jati hai and iske baad aapko fir se naya youtube channel banana padta hai and sab kuch fir se karna padta hai and fir is baat ki bhi koi guarantee ki aapka channel fir se pahle jitna successful ho payega ya nahi.
  • Blogging me regular readers ke sath humara achcha connection ban jata hai and Blog ka auther and reader ke beech kafi achche relations ho jate hai Lekin Youtube Channel par yah hona mushkil hi nahi blki namumkin sa hai. Yaha tak ki kaafi channels ke viewers ko to yahi pata nahi hota hai ki vo log jis channel ki video dekh rahe hain us channel ka owner kaun hai and isi baat se aap anuman laga lijiye ki jab viewer hi owner ko nahi janta to owner ka viewer ko jaanne ka to sawal hi paida nahi hota hai.
  • Blogging se hum apni khud ki Email List (Newsletter) bana sakte hain jise ki hum future me kabhi bhi jarurat padne par kaam me le sakte hain Lekin Youtube par aap aisa nahi kar sakte. Youtube par aapko ye to pata hota hai ki aapke channel ko kitne logo ne subscribe kar rakha hai but yah pata nahi hota hai ki un logo ki Email id kya hai.
  • Blog par Ads ke liye hum apni man pasand ke kisi bhi ads network ka use kar sakte hain lekin Youtube par hum sirf aur sirf Adsense ke hi ads laga sakte hain.
  • Phle aisa hua karta tha ki Youtube channel ke liye aapko kabhi bhi Adsense approval mil jata tha (agr aapke channel par sirf ek ghatiya video hoti thi to bhi) Lekin abhi haal hi me youtube ne apne kuch Rules me chote bade changes kiye hai and Ab aapke channel ko Adsense ke liye approval tab hi milega jab aapke channel ki sabhi videos ke views kul milakar (Total) 10,000+ ho jayenge isse pahle Aap Apne Channel ko Adsense ke liye apply bhi nahi kar sakte hain Lekin Fir bhi Youtube par blogging ke comparison me Adsense Approval milna bahut aasan hai Kyonki blogging ke apne alag rules hai agr aap India me blogging karte hai to aapko 6 months se pahle blog par Adsense ka Approval nahi milega And 6 months ke baad bhi jab aap Adsense ke liye apply karoge to bhi koi fix nahi hai ki Adsense aapke blog ko Approval de hi dega.
  • Youtube par agr aapki videos ka content achcha hai and aapki videos public ko pasand aane wali hai to aapko yadi youtube SEO vagairah ke baare me jyada jaankari nahi bhi hai to bhi chalega but yadi aap blogging kar rahe hain to Aapko SEO, Backlink, Domain, Hosting ke alawa bhi bahut se jaankari hona jaruri hai otherwise Aapka yaha tikna bahut mushkil ho sakta hai.
  • Youtube par agr aapka luck sath de to aap 1 din me hi star ban sakte hai (by Virality). Agr Youtube par aapke content and video ki quality and Theme achchi hai to aap lage rahiye agar aapki ek bhi video Youtube par Viral ho gayi to samjh lena ki aapki nikal padi ab aapko success hone se koi bhi nahi rok  sakta hai. Lekin Blogger par aapko apne har ek Article ko likhne me bahut jyada mehnat karni hogi kyonki yaha google ko is baat se koi farq nhi padta hai ki aapka channel kitna popular hai agr aapne kisi bhi Article ko likhne me jara si bhi dheel barti to Google search engine aapke us article ko Searching me sabse neeche pahuncha dega.
  • Agr hum baat kare competition ki to competition to aajkal Youtube par bhi kam nahi hai Lekin fir bhi Youtube ki bajay Blogging me competition bahut jyada hai.
  • Youtube par aap apne achche luck ki vajah se bhi success ho sakte hain Lekin agr aapko Blogging par success hona hai to aapko bahut jyada mehnat karni padegi.

Blogging Aur Youtube Me Se Jyada Kamayi Kis Par Hoti Hai ??

Chalo ab bahut ho gayi idhr udhr ki baate ab direct (sheedhe) main point par aate hai Jiske liye jyadatar log Google par search karte rahte hain ki Blogging or Youtube Which is the best for Earning ?? Kyunki jab bhi hume 2 options milte hai to hum yahi sochte hai ki dono me se jo best hai use hi choose karenge. Isiliye jyadatar youtuber and Blogger search karte hai ki Youtube Aur Blogging me se sabse jyada earning kisse hoti hai ??

Agr ek tarike se dekha jaye to normaly platform chahe jo bhi ho Blog ya Youtube dono par Earning ke liye Adsense ka hi use kiya jata hai. Vese to adsense se earning kaafi cheejo par depend karti hai lekin fir bhi mostly in 2 cheejo par to bahut jyada depend karti hai -

  1. View
  2. CPC and RPM

 View:  Agar hum baat kare Youtube and Blog ke Pageviews ki to Youtube ke Pageviews virality par depend karte hain agr aapki koi video viral ho jati hai to ho sakta hai ki us par first day hi Millions (10 lakh+) views aa jaye aur agr viral nahi hoti hai to ho sakta hai ki Ek din me 100-1000 views bhi aana mushkil ho jaye.

Jabki agr blogging ke views dekhe jaye to Blogging ki posts is tarah se viral nahi hoti hai ki first day me hi lakho logo ne aapki post read kar li ya balki blogging par posts par views content ki quality par and us topic ki trending par depend karta hai. Agar aapki koi post bahut jyada achchi bhi hai to bhi us par 100 - 1000 or 2000 se jyada views nahi aayenge.

But fir bhi agr normal way me dekha jaye to Youtube par blogger ki tulna me 10 to 15 guna jyada views aate hain lekin yah koi jaruri nahi hai ki Youtube par aapki videos ke har ek viewer ko vo ads dikhayi denge kyuki video ke kuch views par ads show hote hai aur kuch par nahi hote hain. Lekin blogging ke har ek Page par Ads show hote hai and agar hum chahe to apne blog ke every page par 3-4 Ads laga sakte hain.

So is baat se hum anuman laga sakte hai ki chahe Youtube ho ya Fir ho blogging, dono par hi ads ke show hone ke mamle me baat ek hi pad jati hai.


 CPC and RPM:  CPC ka matlab hota hai Cost Per Click aur RPM ka matlab hota hai 1000 ad view per earning.

Blogging ke jo main High CPC Keywords hai unko hum Blog me achche se use kar sakte hain jabki hum Youtube par iska utna benifit nahi utha paate hain.

Isiliye hum kah sakte hain ki  is maamle me Blogging, Youtube se jyada best hai.

Conclusion

Ab yaha ye upar 2247 words ki post me lagbhag sabhi cheeje disscuss kar chukne ke baad mujhe lagta hai ki ab hum conclusion par pahunch sakte hain...

Ab baat aati hai ki "Blogging Aur Youtube Me Se Kaun sa Best Hai ??" Inme se hum kise Choose kare ??

To Mai apni taraf se sirf yahi kahna chahunga ki aap usi platform ko chune jisme ki aapko sabse jyada interest ho and jis par aap lambe samay tak kaam kar sake sath me topic bhi aap aisa hi choose kijiye jis par ki aap lambe samay tak kaam kar sake. Kahi aisa na ho ki aap kuch mahine ya saal bhar to achche se kaam kare Lekin fir iske baad bore ho jaye and Youtube ya Blogging jis par bhi aap kaam kar rahe use aapko chodna pad jaye.

Aur agr aap meri baat mano na to aap dono par hi sath me kaam kijiye. Agr aap chaho to Same niche (Topic) par Blog and Youtube channel dono bana lijiye. Aur jo post aap Blog par karenge vo hi aap Youtube Channel par bhi video banakr upload kar sakte ho. Isse aapka double promotion to hoga hi Lekin sath hi sath Income ke maamle me bhi Double benifit hoga.


Iske alawa agr aapko lagta hai ki aapme koi achcha talent hai to beshak aap Youtube join kijiye agar Public ko aapka vo talent pasand aaya to aapko Star banne me bhi der nahi lagegi.


Aur Agr aap Earning ke hisaab se koi ek platform choose karna chahte hain to mere khayal se to dono hi platform aapke liye best hai and dono me se kisi par bhi work kar lijiye Earning dono me hi lagbhag same hi hogi.


To Yahi thi aaj ki humari post. Is post me mene vese to Blogging aur Youtube se jude lagbhag sabhi pahluo aur aapke sabhi sawalo ke jawabo ko cover karne ki koshish ki hai. Lekin fir bhi Agar aapko lagta hai ki is baare me koi Topic ya kisi question ka answer mujhse rah gaya hai (Jiska me is Post me jawab nahi de paya hoon). To aap mujhe comment box me is baare me bata sakte hain.


I hope ki is Article ko padhne ke baad Aapke Blogging And Youtube se jude saare doubts clear ho gaye honge magr fir bhi agr koi doubt rah gaya hai to aap mujhse comment box me puch sakte hai. 


Aapko Meri yah post kaisi lagi please comment box me comment karke jarur bataiye. Aur agar aapko meri yah post pasand aayi to ise apne friends ke sath Social Media par bhi jarur share kijiye Jisse ki vo bhi yah jaan sakenge ki unhe Blogging aur Youtube me se kya hai best.


अगर आपको हमारा यह Article पसंद आया हो तो plz इसे Facebook और Twitter के जरिये अपने Friends के साथ जरूर Share कीजिये जिससे वो भी इस Article का फायदा उठा सकें और Plz नीचे Comment करके हमें यह जरूर बताइयेगा कि आपको हमारा यह 
Article कैसा लगा।



Receive AchchiDuniya's new articles by email.




Blog Post By Email

अगर आपको हमारी यह पोस्ट अच्छी लगी हो तो आज ही हमारे Blog को Subscribe करें और हमारे इस ब्लॉग की हर एक नयी पोस्ट की सुचना अपनी ईमेल पर पाये। यह बिलकुल फ्री है।

Enter your email address to subscribe to Achchi Duniya's blog and receive their new articles by email.




Enter your email address:

0 comments:

एक टिप्पणी भेजें