रविवार, 12 फ़रवरी 2017

Blogger Favicon Kya Hai Aur Blog Me Favicon Kaise Add Kare

Favicon kisi bhi site ka icon hota hai. Jab hum kisi website ya blog ko open karte hai to humari website ki tab me or browser ke link bar me top par left side me jo icon show hota hai use hi favicon kahte hai. favicon shabd 2 words se mil kar bana hai favorite+icon. Matlb ki jab hum kisi website ke kisi favorite link ko bookmark or save kar lete hai to vaha hume jo icon dikhta hai wahi favicon kahlata hai. Aaj ki is post me mai aapko yahi batane ja raha hu ki blogger favicon kya hota hai and apne blogger blog me favicon kaise add kare .


Blogger Favicon Kya Hai



Favicon Kya Hai Aur Iska Kya Fayda Hai ?


Favicon Blog ki Identity hoti hai. Jisse Blog or site ki pahchan ki jati hai. Jab hum apne browser me kisi site ko open karte hai to browser ke link baar me us site or article ke name se pahle ek icon show hota hai. Ise hi favicon kahte hai.

Favication ke hone se humari site ya blog me ek professional look aa jata hai

Yeh har ek website and blog ke liye jaruri hota hai kyuki aapki site ke reader aapki site ke favication ko dekhte hi pahchan jayenge ki yeh aapki site hai.

Jab browser me bahut sari sites ki tabs khuli huyi ho to jin sites ne apna favication add kiya hua hota hai favication ki help se unke baare me ye pata chal jata hai ki kaunsi site kis tab me hai.

Ye search engine me site ranking ke liye bhi better hota hai.

Blogger Blog Me Favicon Kaise Add Kare ?


Sabse pahle to aap apne blogger blog ke liye ek achcha sa icon create kar lijiye. Apne blog ka icon banane ke liye agar aap chahe to favicon.cc site ki bhi help le sakte hai. Aur dhyan rahe ki aapke dwara banaye gaye icon ki size 16*16 pic=xel ka hona chahiye. Vo isliye kyuki agar aapka icon bahut jyada bada hoga to aapka icon theek se show nahi ho payega aur aapke blog ki loading speed par bhi bad effect padega. Isiliye icon chota hi banane ki koshish kare.

Apne Blogger blog me favicon add karne ke liye mai yaha kuch steps bata raha hu aap un steps ko follow karke apne blog ya website me favicon add kar sakte ho.

1. Blogger me icon add karne ke liye sabse pahle blogger par login kare aur fir apne blog ki dashboard par jaye.


2. Ab Layout par click kare.


3. Favicon wale box me hi aapko ek edit ka option dikhayi dega us par click kare.



Blogger Favicon Kya Hai Aur Blog Me Favicon Kaise Add Kare


Edit par click karne ke baad aapke saamne ek is tarah ki window open hogi.


Favicon kaise change kare

4. Ab choose file par click karke apne apne blog ke liye jo koi bhi icon banaya hua hai use choose kare. Aur aapke icon ki us image ki size 100kb se jyada nahi honi chahiye and aapke icon ki shape square honi chahiye.


5. Photo choose karne ke baad save par click kar de aur aap wapas apne blog ki layout par aa jaoge.


6. Last me save arrangements par click kar de,


Is tarah se aap easily apne blogger blog me apni site ka icon add kar sakte ho. and apne blog ki ek alag pahchan bana sakte ho aur apne blog ka look better kar sakte ho.


Ab kuch time wait karne par jab aap apni site ko fir se open karoge to aap paoge ki aapki website ka icon change ho gaya hai.Is tarah aap apne blogger blog me apni pasand ka icon laga sakte hain.


Agar aapko apne blogger me favicon add karne me koi bhi problem aati hai to aap neeche comment box me comment karke uske baare me puch sakte ho.

Receive AchchiDuniya's new articles by email.


Blog Post By Email

अगर आपको हमारी यह पोस्ट अच्छी लगी हो तो आज ही हमारे Blog को Subscribe करें और हमारे इस ब्लॉग की हर एक नयी पोस्ट की सुचना अपनी ईमेल पर पाये। यह बिलकुल फ्री है।

Apni email id dal kar subscribe par click karne ke baad aapko ek email aayega usme ek link hogi, uspar click Karke confirm jarur kare.

Enter your email address to subscribe to Achchi Duniya's blog and receive their new articles by email.




Enter your email address:

1 टिप्पणी: