बुधवार, 7 सितंबर 2016

Blogger Par Free Blog Banane Ke Baad Kya Kare Full Guidance Hindi Me

Actual me Recently mene kai saare new Bloggers ke Blogs Dekhe unme se maximum bloggers ke Blogs me mujhe dher sari Gadbad ( Mistakes ) dekhne ko mili and is vajah se unke blogs ko enough ( paryapt ) traffic nahi mil paya and unme se kaiyo ne Bloging chod di to kai abhi bhi Struggle ( संघर्ष  ) kr rhe hai. Isiliye mene ye Post likhne ke baare me socha. So aajki ye post un New Bloggers ke liye hai jo ki apna khud ka Blog to bana chuke hai but ab is sawal ko lekar pareshan ho rahe hai ki ab aage kya krna hai.


What to do after creating a free blog, blog banane ke baad kya kare


New Bloggers ko starting me hi sahi Guidance milna bahut jaruri hai. Otherwise vo jaldi hi Blogging se pareshan / bore ho jate hai and Blogging chod dete hai. Mujhe Starting se hi sahi Guidence mili is vajah se me ab tak tika hua hu. Blogger par account bana lene ke baad New Bloggers ke dimag me kai sawal aate hain. And unke jawab janne ke liye alag alag bahut search karte hain. But Aaj ki is ek hi post me mai New Bloggers ke man me aane wale sabhi sawalo ke jawab dene ki puri kosish karunga. Like as :- Blog Bana Lene ke baad kya kare, apne blog me kya kya add kare, Apne Blog ke liye kaunsa Template chune, Blog ka Template kaisa hona chahiye, Blog me kitni widgets add kare,  Blog me kaun kaun si Widgets add kare. Menu Bar me kya kya add kare, Apni site par traffic kaise badhaye, apni site par traffic kaha se badhaye, Apne Blog se paise kaise kamaye,  Apne blog par adsense ads kaise lagaye, Blog ko adsense ads ke liye kab apply kare,  Blog par adsense ads kaise approve karaye etc. Aapko in sabhi sawalo ke jawab is post me mil jayenge.


फ्री में अपनी वेबसाइट (ब्लॉग) कैसे बनाऐं | How to Create Own Website (Blog) For Make Money Online

Blog Bana Lene Ke Baad Kya Kare ?


Agar aapne blog bana liya hai to aapka sabse pahla kaam hai apne Blog ko achche se Design karna. Jab koi bhi Visitor aapke Blog ya Site par aata hai to uski sabse pahle najar aapke Blog ya Site ki Design par padti hai. And achchi Design Audience ki no. 1 pasand hoti hai. So agr aapke Blog ki Designing achchi nahi ki gayi hai to jo bhi aapke Blog ko visit karke dekhega vo fir kabhi aapki site par aana pasand nahi karega. Aur is vajah se aap apne Blog ka 30% - 50% Traffic kho dete hai. So yaha me aapko apne Blog ko achche se Design krne ke liye kuch Tips batane ja raha hu jinki Help se aap apne blog ki better designing kar sakte ho aur apne blog ka 30% - 50% traffic bhi bacha sakte ho. And fir apni blogging ki badhiya starting kar sakte ho. Ab maan liya jaye ki ab tak  aap apna blog bana chuke ho and usme 5-10 Post bhi Publish kar chuke ho.

1. Template 

Ab sabse pahla kaam to aapko ye kare ki apne blog ke liye and badhiya sa Good Looking Template choose kare. But template choose karne se pahle ye jarur jaan le ki template Desktop and Mobile version me achche se open hota hai ya nahi. Aapko apne blog ke liye template choose karne se pale kuch baato ka dhyan rakhna hoga jo ki ye hai :-

 

Mobile Friendly :- Aapka Template Mobile phones me achche se open hota ho.  

SEO Friendly :- Aapke Template ko Search Engine Support krta ho. 

Better Menu Bar :- Template ka Menu bar visitors ko asani se samajh me aa jana chahiye.

Simple Color :- Template ka Designing color simple ho jo ki visitors ko bhi pasand aaye.

Fast Load :- Template fast load hota ho otherwise Visitors Blog chodkr bhi ja sakte hai.



 

2. Widget Add Kare

Aap apne blog ko jitne badhiya se design karoge visitor aapki site par utna hi jyada rukna pasand karenge otherwise visitors ko aapki site chodkar jane me jyada time ni lagta so apne blog ki designing pr jarur dhyan de. Iske liye aapko kuch Improtant widgets add krna bahut jaruri hai. jaise populer post, recent post, facebook page, recent comment, categories / Labels, Follow at social media, Subscribe us by Email etc. Aur bhi kafi Widgets hotii hai unme se jo aapke kaam ki ho bus unhi Widgets ko add kare ( mtlb ki kam se kam widgets add kare ), Kuki jyada Widgets aapke blog / site ki Loading Speed ko kam kar deti hai aur aapki site slow open hoti hai aur ye Visitors ko bilkul pasand nahi hai.

3. Better Menu Bar 

Normaly, Template me already Menu Bar diya hua hota hai, But use apne blog ke hisab se set karna bahut jaruri hota hai. So aapko apne blog ki posts ke hisab se Menu Bar me Topics Set kare. Isse aapke visitors ko aapki site par manpasand Category se related posts dhundhne ( find krne ) and padhne me asani hogi.

 

4. Search Box Add Kare

 Vese to lagabhag sabhi Templates me Search Box already diya hua hota hai Or agr aapke Template me nahi bhi diya gaya ho to bhi koi baat nahi aap alag se khud hi search box widget add kar sakte hai. Ise add karna isliye jaruri hai kuki iske throw aapke visitors apna pasandida content aapki site me dhundh sakte hai ( Find kar sakte hai ).

5. Extra Features Ko Remove Kare

Blogger me kuch extra featue bhi diye huye hote hain. Jo na to aapke kaam ke hote hai aur na hi aapke visitors ke kaam ke, jaise ki powered by blogger, template by, created by, navigation bar etc. In sabhi Extra Features ko apne blog se remove kar de. Iske baad aapka blog bhi ek site ki tarah hi dikhega.

6. Submit to Search Engine

Apne Blog / Site ko Search Engine me submit krna bahut jaruri hota hai.Kuki aapki site par maximum visitors Search Engines se hi aate hai. Isiliye jab aapki site / blog completely design ho jaye to apne blog / site ko search engine mw submit jarur kar de. Isse aapki site google, bing, yahoo, ask me, Yandex jaise search engines me show hone lag jayegi.

 7. Apni Site / Blog Par Traffic Badhaye 

Traffic har kisi Blogger ke liye sabse jyada jaruri hota hai. Apni site par traffic badhane ke liye bloggers kya kuch nahi karte. Iske liye aap bhi social media jaise - Facebook, Tweeter, Google Plus etc. ki madad le sakte ho. Isse aapko apni site par 80% audience mil sakte hai. Iske liye aapko apne blog ki posts ko social media par share karna hoga.

8. Post Writing

Upar di gayi saari Tips follow karne ke baad ab aapke paas last and final kaam bachta hai apni blogging par focus karna. So ab apni blogging skills sudharne ki kosish kare and apne blog par Unique and achche content wali posts dale. And apni site par jyada se jyada visitors lane ki kosish kare.

 9. Adsense Ads

ye sawal har kisi new blogger ke mind me rahta hai ki hum apne blog par adsense ads kab aur kaise laga payenge. Vese to iska koi fix jawab nahi hai but fir bhi normaly ye dekha gaya hai ki jab aapke blog par 500 Views per day hone lag jate hai tb aap apna adsense account bana sakte ho aur aapka adsense account approve ho sakta hai. Vese agr aap chaho to apne blog par bidvertiser ya chitika ke ads bhi laga sakte hai but me aapko advice dena chahunga ki aap apne blog pr bidvertiser ya chitika ke ads use na kare inke ads auto click hote hai aur isse apke visitors ko pareshani hoti hai. Aur aapko paise kamane se jyada apne Visitors ki suvidhao ka dhyan rakhna chahiye tabhi aap Blogging me success ho paoge.





Humare is Blog par aapko blogger se related dher posts mil jayegi. And aane wale time me mai or bhi posts share karta rahunga. agar aapko meri site se help milti hai to aap humari site ko subscribe kar sakte hai. jis se hum jab bhi new post share karenge to aapko uske notifications apne Email par mil jayenge.  Agar aap new blogger hai or is post me aapke sawal ka jawab nahi hai to comment ke throw aap apna sawal puch sakte ho.



I hope aapko ye post pasand aayi hogi Aur agr aapko is post me achi jankari mili ho to ise apne dosto ke sath bhi share kare or sath hi hume bhi social media par follow kare.  Agar aapko meri site se help milti hai to aap humari site ko subscribe kar sakte hai. Jis se hum jab bhi new post share karenge to aapko uske notifications apne Email par mil jayenge. Or Agar aapke Mind me koi sawal ho to niche comment kare, comment me ye post aapko kaisi lagi btana na bhoole.
 
Receive AchchiDuniya's new articles by email.


Blog Post By Email

अगर आपको हमारी यह पोस्ट अच्छी लगी हो तो आज ही हमारे Blog को Subscribe करें और हमारे इस ब्लॉग की हर एक नयी पोस्ट की सुचना अपनी ईमेल पर पाये। यह बिलकुल फ्री है।

Apni email id dal kar subscribe par click karne ke baad aapko ek email aayega usme ek link hogi, uspar click Karke confirm jarur kare.


Enter your email address to subscribe to Achchi Duniya's blog and receive their new articles by email.




Enter your email address:

19 टिप्‍पणियां:

  1. उत्तर
    1. Abhi mene apne blog par ads lagane start nahi kiye hai so abhi tak to blogging se mene kuch nahi kamaya hai bt jb kabhi bhi apne blog par ads lagaunga and kamana shuru karunga to is baare me aapko jarur bataunga

      हटाएं
  2. Sir mera blog hain publicsikho.BlogSpot.com kya aap iss blog ko dekhkar Bata sakte hain Ki isme kya kami hain please sir

    जवाब देंहटाएं
  3. उत्तर
    1. Iske liye aap humari Post template kaha se download kare padhe vaha mene kuch templates ki sites ke link diye hain unme se kisi ek par jakr aapko jo bhi template behtr age vo choose kr sakte ho

      हटाएं
  4. Sir aap mere blog ko ek baar comment kare sir aur dusri baat mere blog ka template Maine change kar li hain ab batae Ki mere blog par kiss chij Ki kami hain

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Aap LayOut Me Apni widgets ko sahi se manage karo...And blog ke look ko aakrshak banane ki koshish karo...

      हटाएं
  5. उत्तर
    1. Sorry bro. but mai koi aisi trick nahi janta jisse ki aap free net chala sake... Halanki kaafi saare bloggers ne aisi tricks apne blog par dali huyi hai lekin unme se maximum tricks wrong hai bt fir bhi agar aap chao to google par search krke aisi trick dhoondh sakte hai ho sakta hai ki aapki kismat sath de jaye aur aapko iske liye koi sahi trick mil jaye.

      हटाएं
  6. Hello sir main nadim Ansari
    Kya Kisi ke naam se uska number jaan sakte hain Kisi bhi tarike se please help me sir

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. bro. abhi in dino mai thoda busy hu isiliye is baare me koi post nahi lik pa raha hu lekin mai jaldi hi iska koi solution dhundh kr aapko post ke jariye bata dunga

      हटाएं
  7. उत्तर
    1. Nahi bro. Abi maine earning suru nahi ki hai...
      Mere blog par abhi maine koi bhi ad nahi lagaya hua hai...
      but jab kabi bhi earning suru karunga aapko us baare me post likhkr jarur bataunga

      हटाएं
  8. उत्तर
    1. Iske Liye Aap Meri Post Padh sakte hai jo ki Is Tittle se hai APNI WEBSITE (BLOG) KE LIYE SITEMAP KAISE Banaye.

      हटाएं